Sunday, May 18, 2008

Bhaarat ki azaadi aur ek panchi ki azaadi me kya fark hai??

Aazaadi ??

Bhaartiyo ko angrejo ne bhaarat me bandi banaya tha
Panchio ko log ek chote se pinjade me band karte hai

Bhaaratiyo ko angrejo ne zanzeero me lapeta tha
Panchio ko logo ne lambe samay tak zanzeero me ghera hai

Angrejo ne bhartiyo ko mauka diya
Panchio ko jabardasti logo ne kaid kiya

Unhone humse khule zamee par kaam karwaya tha
Insaan ne unko baahar se hi kush karna chaha hai

Unhone hume kam paiso se jeena sikhaaya tha
Insaan ne alag se paise dekar unhe bandi banaya tha

Dhanya hai hum jo saalo gulaami ke tajurbe ke baad bhi
Insaa to door, ishwar ko bandi banaya hai

Hum to kabhi chah kar bhi udne waale pankh na laga paaye
Phir bhi unke pankho ko humne kaat daala hai

Hamaari zindagee me to sirf gulaami ka daag laga tha
Phir bhi humne unki zindagee ko maut me badla tha

Hum to zamee par rehete hai
Bandi bhi zamee par hi banaaye gaye

Jinhe humne bandi banaya
Wo to pure jahaa, aasma aur zamee me the

Asli azaadi insaa ko ab tak nahi mil paayi hai
Koi halwaai to koi kasaai hai

Aye insaan, agar tujhe dil ki azaadi chahiye to
Bas ek baar zaroor ek panchi ko pinjade se mukt kar.

3 comments:

Vikram-Kavi said...

kabhi yeh mat sochna ki mai bohot achha kawi hoon.sirf achhe kawi banane ke liye mehenat karna

Unknown said...

bahut acccha hai maalik!!!
aakhir bada babu hooo

Vikram-Kavi said...

mehenat karte raho