Wednesday, June 25, 2008

SHANTI TU KAHA GAYI ??

Bohot kuch diya zindagee ne
Bohot kuch liya zindagee ne

Kal ghar par khushiya aai
Padi kuch door(past) aur kuch paas(present) se dikhai

Paas ne door ko lalkara
Kaha thikana nahi tumhara

Jawab aayi door se,
Kabhi kabhi aane waale bhawishya ki kyushiya

Sukhad hoti hai paas se jyada
Issase bhala kush (sukh) hi aadha

Le lo tum phir ek baar zaaeza (parakhna)
Baat ho door ki ya ho paas ki

Shanti milegee duniya me
Kabhi door, kabhi paas me

Mil jata jab dhan-daulat
Samajte mil gaya sab kuch

Dhundte hai shanti waha se
Ashanti ka waas hai jaha pe
Milta sab kuch yaha se(duniya/zindage)
Chahe wo ho shoharat ya phir ho aurat

Sukh ki prapti lalach se nahi hoti
Dukh ki samaapti dhan se nahi hoti

Dhund rahe hai hum shanti jaha
Ashanti ke alawa kuch nahi waha

Aye insaan…………………………..

Moh-maya ke jaal me phas kar
Tu Nahi nikal paayega

Shanti ka rahasya tu kabhi na jaan paayega

No comments: